People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Prem Pujarin Maang Mey Bharke
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: Prakash Mehra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Haseena-Do-Diwane/Prem-Puj
prem pujaran aanchal me mamta bharke layi re
jaago hey ghanshyam yashoda tumhe jagane aayi re

prem pujaran maang me bharke
prem pujaran maang me bharke
bhor ki laali layi re
gale lagalo shyam ke radha
sharan tihari aayi re
aayi re prem pujaran

tori preet ke
tori preet ke lahrate sagar me
umang ki gagar
sada sharan me rakhiyo se humko
tajiyo na girdhar nagar
janam janam tak sath raho bankar tori parchhayi re
aayi re prem pujaran maang me bharke
bhor ki laali layi re
gale lagalo shyam ke radha
sharan tihari aayi re
aayi re prem pujaran

hum nirgun hai
hum nirgun hai kya jane gun tere
kya jane teri maya
andhiyare me bhatke huyo ko tune path darshaya
humko bhi ujiyara dede
tu parwat main raahi re
aayi re prem pujaran maang me bharke
bhor ki laali layi re
gale lagalo shyam ke radha
sharan tihari aayi re
aayi re prem pujaran
Hey Re Raama
Singer: Manna Dey
Lyricist: Qamar Jalalabadi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Haseena-Do-Diwane/Hare-Ram
hey re rama
hey re rama ram kasam kaisa aaya e zamana
hey re rama ram kasam kaisa aaya e zamana
mardan ka dekho kaise chhede hai janana
mardan ka dekho kaise chhede hai janana
yaha waha hath mat lagiyo ha
hath lagiho to jahiho main thana
koi police ko bulana bulana
hey re rama
hey re rama ram kasam kaisa aaya e zamana

peticot walo ne diya humka maar
peticot walo ne diya humka maar
jabse inka dekha hua hai banta dhar
chhoriyan ka pyar jhutha
pyar ka vyapar jhutha
rup ka singar jhutha
mukh ka nikhar jhutha
aar jhutha paar jhutha yaari jhuthi yaar jhutha
inse na neha lagana lagana
hey re rama
hey re rama ram kasam kaisa aaya e zamana

are aaj tore bhaktan ka patla hai haal
aaj tore bhaktan ka patla hai haal
jai jai jai bajrang bali aayi bala taal
natkhat naar khoti kajre ki dhar khoti
lat ki funkar khoti ankhiyo ki maar khoti
chudi ki jhankar khoti
chhori hoshiyar khoti
jhanse me inke kabhu na aana
hey re rama
hey re rama ram kasam kaisa aaya e zamana
mardan ka dekho kaise chhede hai janana
hath lagiho to jahiho main thana
koi police ko bulana bulana
hey re rama
hey re rama ram kasam kaisa aaya e zamana

jinhe desh par grav hai u kahan hai kahan hai
e galiyo e kuche e fashion ke bazaar
e bechare mardan pe nari ki lalkar
chun chun ke bharat ke netan ka laao
hey nutan humare hote huye nutan
nutan naahi netan
huyi gaya kabada phir se leo
chun chun ke bharat ke netan ka laao
netan ka inke e nakhre dikhao
yadi e karihey more dil ka bhojan
to kaise hoyega parivar niyojan
kahan hai kahan hai kahan hai
yaha hai top are baap re
koi police ko bulana bulana
hey re rama
hey re rama ram kasam kaisa aaya e zamana
hey re rama hoye re rama
hey re rama hoye re rama
hey re rama haye rama
hey re rama haye rama
Aaja Ya Aa Jaane De
Lyricist: Anjaan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Haseena-Do-Diwane/Aaja-Ya-
aaja ya aa jane de pas karni hai tujhse bate aaj
aaja ya aa jane de pas karni hai tujhse bate aaj
hai rat suhani soja sun dil ki kahani ja
hai rat suhani soja sun dil ki kahani ja
aaja ya aa jane de pas

aaja teri lat suljha du mathe ki bindiya chamakdu
khil jaye aankho ka kajra aa baho ka har pahnadu
are ja ja are kyu kyu mai sab samjhu mai sab janu
dil ki sab dhadkan pahchanu dil pagal hai tu diwana
mai teri bate kyu manu janu janu janu mai jane
ja teri na na me bhi hai ha hai
hai rat suhani soja sun dil ki kahani ja
hai rat suhani soja sun dil ki kahani ja
aaja ya aa jane de pas

aisi bhi hai kya majburi ab kyu hamse itni duri
pas to aa kano me kahdu kahni hai ek bat jaruri
na na kyu kyu socha hai kya khub bahana
ye bhi ho gaya purana shor macha dungi sach mano
na mujhko na hath laganna na kyu dil me hai jo pyar
aane de hotho pe ek bar
hai rat suhani soja sun dil ki kahani ja
hai rat suhani soja sun dil ki kahani ja
aaja ya aa jane de pas

tauba ye inkar tumhara haye sitamgar pyar tumhara
tewar yahi rahe to aage kya hoga sarkar hamara bechara ha
pas na aa yu bat banake mujhko bato se bahlake
kal jo hoga kal sochenge aage ki dekhenge aage
dekho dekho dekho to meri or dil me dil me kaisa hai chor
hai rat suhani hogi sun dil ki kahni soja
hai rat suhani hogi sun dil ki kahni soja
are aaja ya aa jane de pas karni hai tujhse bate aaj
hai rat suhani soja sun dil ki kahani ja
hai rat suhani soja sun dil ki kahani ja
aaja ya aa jane de pas
Kuch Ladke Kuch Ladkiyo
Singer: Mohammad Rafi
Lyricist: Prakash Mehra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Haseena-Do-Diwane/Yeh-Nach
kuch ladke kuch ladkiyo ki hui ikathi bhid
aisa nacha nach ke bhaiya ho gayi man ko peed
ho gayi man ko peed hua dil bada udasha
bap bajaye saj to bitiya hai rakasha
ye nach wach kya hai
ye nach wach kya hai ye kya gana bajana
kuch paglo ne mahfil bana di pagal khana
ye nach wach kya hai

bada kasth dete ho patli kamar ko
haay patli kamar ko
jara dekhiye aap apni hi umar ko
ho apni hi umar ko
use nach kahiye jo madhosh kar de
bichade jami par sabhi ki najar ko
sabhi ki najar ko
ye nach gana hamko aisa lagta hai
jaise diwano ka apas me bair ho purana
ye nach wach kya hai

saram karo dub maro
mohabbat kanhaiya se radha ne ki thi
magar us mohabbat me kya sadgi thi
jami aasma ka
jami aasma ka farak ho gaya hai
insa ka beda garak ho gaya hai
garak ho gaya hai
bata de koi hamko nahi bata sakoge
bata de koi hamko samjhade koi hamko
hai kaun isme shama or kaun hai parwana
ye nach wach kya hai

na maszid ka charcha na mandir ki bate
na maszid ka charcha na mandir ki bate
ujale hai puraw ke paschim ki rate
ye kaisa nasha hai ye kaisa nasha hai
ye kaisa guman
ye begani rasme ye jalan bhi udhar
jalan bhi udhar
wo sadiyo purani haamri nishani
tumhari dua se bani hai nishana
bani hai nishana

ye nach wach kya hai ye nach wach kya hai
ye kya gana bajana
kuch paglo ne mahfil bana di pagal khana
banadi pagal khana bana di pagal khana
Do Kadam Tum Na Chalo
Singer: Mukesh
Lyricist: Namvar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Haseena-Do-Diwane/Do-Qadam
do kadam tum na chale do kadam hum na chale
do kadam tum na chale do kadam hum na chale
aarzuo ke diye bujh gaye jalte jalte
do kadam tum na chale do kadam hum na chale

ham to aanhko me basa lenge tumhare gum ko
ham to aanhko me basa lenge tumhare gum ko
tum kabhi bhul ke bhi yad na akena hamko
apni manjil tumhe mil jayegi chalte chalte
do kadam tum na chale do kadam hum na chale
aarzuo ke diye bujh gaye jalte jalte
do kadam tum na chale do kadam hum na chale

waqt ne jahar bhara pyar ke paymano me
waqt ne jahar bhara pyar ke paymano me
ho gaye khwab sulagte hue virano me
jan se jayenge hum dard ke dhalte dhalte
do kadam tum na chale do kadam hum na chale
aarzuo ke diye bujh gaye jalte jalte
do kadam tum na chale do kadam hum na chale
Do Kadam Tum Bhi
Lyricist: Kafeel Aazar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Haseena-Do-Diwane/Do-Qadam
do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale
do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale
manjile pyar ki
manjile pyar ki aayengi chalte-chalte
do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale

kal tak toh anjan thi hamse raahe pyar ki
hamse raahe pyar ki
lekin apni ho gaye abb toh baahe pyar ki
abb toh baahe pyar ki
abb hame yeh jahan
abb hame yeh jahan dekhega jalte-jalte
do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale
do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale

meri jo bhi soch thi uska hi tum rup ho
uska hi tum rup ho
mai hu nadiya tum ghata mai chhaya tum dhup ho
mai chhaya tum dhup ho
pyar yeh ho javan
pyar abb yeh ho javan aankho me palte-palte
do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale
do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale

aisi hi ik sham thi dekha tha jab aapko
dekha tha jab aapko
tum is dhalti sham ko roko toh kuchh baat ho
roko toh kuchh baat ho
jaan se jayenge
jaan se jayenge sham ke dhalte-dhalte
do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale
manjile pyar ki
manjile pyar ki aayengi chalte-chalte
do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale